Dhalā  na  sañg  ke  paikar  meñ  yaar  kis  kā  thā
vo  ek  aks  chaTānoñ  ke  paar  kis  kā  thā
zamīñ  paḌī  rahī  be-sāz-o-barg  kis  kī  thī
kahīñ  baras  gayā  abr-e-bahār  kis  kā  thā
havā.eñ  le  uḌiiñ  naqsh-e-kamāl  kā  nairañg
na  jaane  ḳhaak  pe  vo  shāhkār  kis  kā  thā
kahīñ  pata  na  lagā  phir  vajūd  kā  mere
uThā  ke  le  ga.ī  duniyā  shikār  kis  kā  thā
nafas  charāġh  siyah  pāniyoñ  meñ  thā  ḳhāmosh
ḳhabar  nahīñ  ki  use  intizār  kis  kā  thā
jo  aarzū  thī  banī  ek  bojh  āḳhir  'zeb'
hamīñ  uThā.e  phire  dil  pe  baar  kis  kā  thā