ġhaar  ke  muñh  se  ye  chaTTān  haTāne  ke  liye
koī  nekī  bhī  nahīñ  yaad  dilāne  ke  liye
ik  nigāh-e-ġhalat-andāz  kā  imkāñ  niklā
kuchh  zamīñ  aur  milī  paañv  baḌhāne  ke  liye
us  kī  rāhoñ  meñ  paḌā  maiñ  bhī  huuñ  kab  se  lekin
bhuul  jaatā  huuñ  use  yaad  dilāne  ke  liye
sub.h  darveshoñ  ne  phir  raah  lī  apnī  apnī
maiñ  bhī  baiThā  thā  vahāñ  qissa  sunāne  ke  liye
vo  mire  saath  to  kuchh  duur  chalā  thā  lekin
kho  gayā  ḳhud  bhī  mujhe  raah  pe  laane  ke  liye
ek  shab  hī  to  basar  karnā  hai  is  dasht  meñ  'zeb'
kuchh  bhī  mil  jaa.e  yahāñ  sar  ko  chhupāne  ke  liye