us  ke  qurb  ke  saare  hī  āsār  lage
havā  meñ  lahrāte  gesū-e-yār  lage
dil  bhī  kyā  nairañg-e-sarāb-e-ārzū  hai
raunaq  dekho  to  koī  bāzār  lage
maiñ  ghabrā  kar  tujh  ko  pukārūñ  to  ye  falak
āñgan  biich  bahut  ūñchī  dīvār  lage
ik  be-ma.anī  mahviyyat  sī  hai  shab-o-roz
socho  to  jo  kuchh  hai  sab  bekār  lage
merī  anā  uftādgī  meñ  bhī  kyā  hai  'zeb'
koī  haath  baḌhā.e  to  talvār  lage