ik  piilī  chamkīlī  chiḌiyā  kaalī  aañkh  nashīlī  sī
baiThī  hai  dariyā  ke  kināre  merī  tarah  akelī  sī
jab  maiñ  nasheb-o-rañg-o-bū  meñ  utrā  us  kī  yaad  ke  saath
os  meñ  bhīgī  dhuup  lagī  hai  narm  harī  lachkīlī  sī
kis  ko  ḳhabar  maiñ  kis  raste  kī  dhuul  banūñ  yā  phuul  banūñ
kyā  jaane  kyā  rañg  dikhā.e  us  kī  aañkh  pahelī  sī
tez  havā  kī  dhaar  se  kaT  kar  kyā  jaane  kab  gir  jaa.e
lahrātī  hai  shāḳh-e-tamannā  kachchī  bel  chamelī  sī
kam  raushan  ik  ḳhvāb  ā.īna  ik  piilā  murjhāyā  phuul
pas-manzar  ke  sannāTe  meñ  ek  nadī  pathrīlī  sī