merā  nishāñ  bhī  DhūñDh  ġhubār-e-māh-o-aḳhtar  meñ
kuchh  manzar  maiñ  ne  bhī  banā.e  banā.e  haiñ  manzar  meñ
pūchho  to  zaḳhmoñ  kā  havāla  denā  mushkil  hai
itnī  be-tartībī  sī  hai  dil  ke  daftar  meñ
vo  maujoñ  kī  tesha-zanī  se  gūñjtī  chaTTāneñ
vo  patthar  sī  raat  kā  Dhalnā  chāñd  ke  paikar  meñ
itnā  yaad  hai  jab  maiñ  chalā  thā  sū-e-dasht-e-balā
maujeñ  mārtā  ik  dariyā  bahtā  thā  barābar  maiñ
chamak  rahā  hai  ḳhema-e-raushan  duur  sitāre  sā
dil  kī  kashtī  tair  rahī  hai  khule  samundar  meñ
'zeb'  mujhe  Dar  lagne  lagā  hai  apne  ḳhvāboñ  se
jāgte  jāgte  dard  rahā  kartā  hai  mire  sar  meñ