jab  bhī  do  aañsū  nikal  kar  rah  ga.e
dard  ke  unvāñ  badal  kar  rah  ga.e
kitnī  fariyādeñ  laboñ  par  ruk  ga.iiñ
kitne  ashk  aahoñ  meñ  Dhal  kar  rah  ga.e
ruḳh  badal  jaatā  mirī  taqdīr  kā
aap  hī  tevar  badal  kar  rah  ga.e
khul  ke  rone  kī  tamannā  thī  hameñ
ek  do  aañsū  nikal  kar  rah  ga.e
zindagī  bhar  saath  denā  thā  jinheñ
do  qadam  hamrāh  chal  kar  rah  ga.e
tere  andāz-e-'tabassum'  kā  fusūñ
hādse  pahlū  badal  kar  rah  ga.e