Sufi Tabassum

teri mahfil mein soz-e-jawedani le ke aaya hun

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978

tirī mahfil meñ soz-e-jāvedānī le ke aayā huuñ

mohabbat matā-e-ġhair-fānī le ke aayā huuñ

maiñ aayā huuñ fusūn-e-jazba-e-dil āzmāne ko

nigāh-e-shauq jādū-bayānī le ke aayā huuñ

maiñ aayā huuñ sunāne qissa-e-ġham sard aahoñ meñ

Dhalakte āñ.suoñ be-zabānī le ke aayā huuñ

maiñ tohfa le ke aayā huuñ tamannāoñ ke phūloñ

luTāne ko bahār-e-zindagānī le ke aayā huuñ

bayāñ jis ko kiyā kartī thiiñ merī nā-tavāñ nazreñ

vahī dard-e-mohabbat kahānī le ke aayā huuñ

agarche ālam-e-fānī har ik chiiz faanī hai

magar meñ huuñ ki ishq-e-jāvedānī le ke aayā huuñ

Top Urdushayar.com