vo  husn  ko  jalva-gar  kareñge
ārā.ish-e-bām-o-dar  kareñge
hañs  hañs  ke  kareñge  chāra-sāzī
sāmān-e-dil-o-nazar  kareñge
ham  bhī  sar-e-rāh  muntazir  haiñ
dekheñ  kab  idhar  nazar  kareñge
afsāna-e-ġham  tavīl  hai  dost
is  baat  ko  muḳhtasar  kareñge
hai  shām-e-firāq  saḳht  tārīk
is  shaam  kī  ab  sahar  kareñge
afsurda  haiñ  zindagī  ke  tevar
kab  tak  yūñhī  ham  basar  kareñge
aa.egā  'tabassum'  un  laboñ  par
aañsū  bhī  kabhī  asar  kareñge