jab  ashk  tirī  yaad  meñ  āñkhoñ  se  Dhale  haiñ
tāroñ  ke  diye  sūrat-e-parvāna  jale  haiñ
sau  baar  basā.ī  hai  shab-e-vasl  kī  jannat
sau  baar  ġham-e-hijr  ke  sho.aloñ  meñ  jale  haiñ
har  aan  umañgoñ  ke  badalte  rahe  tevar
har  aan  mohabbat  meñ  na.ī  raah  chale  haiñ
mahtāb  se  chehre  the  sitāroñ  sī  nigāheñ
ham  log  inhī  chāñd  sitāroñ  meñ  pale  haiñ
noche  haiñ  kabhī  ham  ne  havādis  ke  garebāñ
nākāmi-e-koshish  pe  kabhī  haath  male  haiñ
tārīk  fazāoñ  ke  ubharte  rahe  tūfāñ
phir  bhī  tirī  yādoñ  ke  diye  ḳhuub  jale  haiñ
kyā  jāniye  ye  riñd  bure  haiñ  ki  bhale  haiñ
saaqī  kī  nigāhoñ  ke  ishāroñ  pe  chale  haiñ
mahsūs  ye  hotā  hai  ki  duniyā  kī  bahāreñ
us  gul-kada-e-nāz  ke  saa.e  ke  tale  haiñ
yūñhī  to  dil-āvez  nahīñ  sher-e-'tabassum'
ye  naqsh  tire  husn  ke  sāñche  meñ  Dhale  haiñ