sukūn-e-qalb  o  shakeb-e-nazar  kī  baat  karo
guzar  ga.ī  hai  shab-e-ġham  sahar  kī  baat  karo
diloñ  kā  zikr  hī  kyā  hai  mileñ  mileñ  na  mileñ
nazar  milāo  nazar  se  nazar  kī  baat  karo
shagufta  ho  na  sakegī  fazā-e-arz-o-samā
kisī  kī  jalva-gah-e-bām-o-dar  kī  baat  karo
harīm-e-nāz  kī  ḳhalvat  meñ  dastaras  hai  kise
nazāra-hā-e-sar-e-rah-guzar  kī  baat  karo
badal  na  jaa.e  kahīñ  iltifāt-e-husn  kā  rañg
halāvat-e-nigah-e-muḳhtasar  kī  baat  karo
jahān-e-hosh-o-ḳhirad  ke  muāmle  haiñ  darāz
kisī  ke  gesū-e-āshufta-sar  kī  baat  karo
nigāh-e-nāz  hai  ik  kā.enāt-e-rāz-o-niyāz
jidhar  kare  vo  ishāra  udhar  kī  baat  karo
surūr-e-zīst  huā  jis  ke  dam-qadam  se  nasīb
usī  nadīm  usī  ham-safar  kī  baat  karo
vo  jis  se  talḳhī-e-zahrāb-e-ġham  gavārā  hai
usī  'tabassum'-e-shīrīñ-asar  kī  baat  karo