Sufi Tabassum

sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978

sau baar chaman mahkā sau baar bahār aa.ī

duniyā vahī raunaq dil vahī tanhā.ī

ik lahza bahe aañsū ik lahza hañsī aa.ī

sīkhe haiñ na.e dil ne andāz-e-shakebā.ī

is mausam-e-gul se bahke nahīñ dīvāne

saath abr-e-bahārāñ ke vo zulf bhī lahrā.ī

har dard-e-mohabbat se uljhā hai ġham-e-hastī

kyā kyā hameñ yaad aayā jab bhī tirī aa.ī

charke vo diye dil ko mahrūmī-e-qismat ne

ab hijr bhī tanhā.ī aur vasl bhī tanhā.ī

dekhe haiñ bahut ham ne hañgāme mohabbat ke

āġhāz bhī rusvā.ī anjām bhī rusvā.ī

ye bazm-e-mohabbat hai is bazm-e-mohabbat meñ

dīvāne bhī shaidā.ī farzāne bhī shaidā.ī

Top Urdushayar.com