kuchh  aur  gumrahī-e-dil  kā  raaz  kyā  hogā
ik  ajnabī  thā  kahīñ  rah  meñ  kho  gayā  hogā
vo  jin  kī  raat  tumhāre  hī  dam  se  raushan  thī
jo  tum  vahāñ  se  ga.e  hoge  kyā  huā  hogā
isī  ḳhayāl  meñ  rāteñ  ujaḌ  ga.iiñ  apnī
koī  hamārī  bhī  hālat  ko  dekhtā  hogā
tumhāre  dil  meñ  kahāñ  merī  yaad  kā  partav
vo  ek  halkā  sā  bādal  thā  chhaT  gayā  hogā
vafā  na  kī  na  sahī  ye  bhī  yaad  hai  tujh  ko
koī  jafā  ko  bhī  tere  taras  rahā  hogā
ġham-e-judā.ī  meñ  aisī  kahāñ  thī  lazzat-e-dard
unheñ  bhī  mujh  se  bichhaḌne  kā  dukh  huā  hogā