chhuT  ga.iiñ  nabzeñ  rukī  sāñseñ  nazar  pathrā  ga.ī
maut  kyuuñ  kahiye  use  bīmār  ko  niiñd  aa  ga.ī
dar-haqīqat  aap  the  yā  aap  kā  aks-e-jamīl
vāqa.ī  merī  nazar  kyā  aaj  dhokā  khā  ga.ī
maiñ  ne  chāhā  thā  ki  phūloñ  se  basā  luuñ  pairahan
bū-e-gul  bhī  mere  dāman  se  magar  katrā  ga.ī
ham  ko  tark-e-ārzū  kā  aaj  ye  hāsil  milā
aarzū  kā  naam  le  kar  aarzū  sharmā  ga.ī
baj  uThā  sāz-e-tarab  aur  jal  uThe  dil  ke  charāġh
ittifāqan  bhī  agar  un  se  nazar  Takrā  ga.ī
ban  ga.ī  vaj.h-e-faroġh-e-anjuman  sham-e-hayāt
zindagī  thī  aap  kī  aur  aap  ke  kaam  aa  ga.ī
us  nigāh-e-multafit  kā  mujh  se  phirnā  thā  'jalīl'
ārzūoñ  ke  gulistāñ  meñ  ḳhizāñ  sī  chhā  ga.ī