Jaleel Sherkoti

bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi

Jaleel Sherkoti

Sherkot, Uttar pradesh, India

balā-kash-e-ġham-e-getī hai jān-e-zār abhī
hayāt sar pe uThā.e hue baar abhī
milī kahāñ hai tujhe terī rahguzār abhī
hai yaañ se duur bahut duur kū-e-yār abhī
mah-o-nujūm fasurda gul-o-saman giryāñ
hai kā.enāt mire ġham meñ sogvār abhī
kahūñ to kaise kahūñ us ko daur-e-adl-o-atā
hai dār-o-gīr abhī jabr-o-iḳhtiyār abhī
balā.eñ aa.iiñ sitam par sitam hue lekin
badal sakā na zamāna mirā shi.ār abhī
sitāre Duub ga.e sham.eñ bujh ga.iiñ jal kar
khulī huī hai magar chashm-e-intizār abhī
dayār-e-dil meñ na jaane hai kab se vīrānī
va-lek shahr-e-nigārāñ meñ hai bahār abhī
uTho sañvāro nikhāro hayāt-e-nau baḳhsho
urūs-e-dahr kī āñkhoñ meñ hai ḳhumār abhī
na naam loge jafāoñ kā bhuul kar bhī 'jalīl'
nahīñ hue ho jafāoñ se ham-kanār abhī
Top Urdushayar.com