balā-kash-e-ġham-e-getī  hai  jān-e-zār  abhī
hayāt  sar  pe  uThā.e  hue  baar  abhī
milī  kahāñ  hai  tujhe  terī  rahguzār  abhī
hai  yaañ  se  duur  bahut  duur  kū-e-yār  abhī
mah-o-nujūm  fasurda  gul-o-saman  giryāñ
hai  kā.enāt  mire  ġham  meñ  sogvār  abhī
kahūñ  to  kaise  kahūñ  us  ko  daur-e-adl-o-atā
hai  dār-o-gīr  abhī  jabr-o-iḳhtiyār  abhī
balā.eñ  aa.iiñ  sitam  par  sitam  hue  lekin
badal  sakā  na  zamāna  mirā  shi.ār  abhī
sitāre  Duub  ga.e  sham.eñ  bujh  ga.iiñ  jal  kar
khulī  huī  hai  magar  chashm-e-intizār  abhī
dayār-e-dil  meñ  na  jaane  hai  kab  se  vīrānī
va-lek  shahr-e-nigārāñ  meñ  hai  bahār  abhī
uTho  sañvāro  nikhāro  hayāt-e-nau  baḳhsho
urūs-e-dahr  kī  āñkhoñ  meñ  hai  ḳhumār  abhī
na  naam  loge  jafāoñ  kā  bhuul  kar  bhī  'jalīl'
nahīñ  hue  ho  jafāoñ  se  ham-kanār  abhī