tavajjoh  un  kī  kyā  kam  ho  ga.ī  hai
balā-e-jāñ  shab-e-ġham  ho  ga.ī  hai
ḳhirad  kā  nuur  kyā  phailā  jahāñ  meñ
diloñ  kī  raushnī  kam  ho  ga.ī  hai
rahī  hogī  kabhī  jannat  ye  duniyā
magar  ab  to  jahannam  ho  ga.ī  hai
atom-zādoñ  ye  me.arāj-e-taraqqī
harīf-e-ibn-e-ādam  ho  ga.ī  hai
shikast-e-ḳhvāb  tanzīm-e-gulistāñ
dalīl-e-azm-e-mohkam  ho  ga.ī  hai
ḳhazaf  kā  mol  jab  se  baḌh  gayā  hai
sadaf  kī  aabrū  kam  ho  ga.ī  hai
kabhī  vaqf-e-tarab  thī  zindagānī
magar  ab  sirf  mātam  ho  ga.ī  hai