Rahi Quraishi

tabahi bastiyon ki hai nigahbanon se wabasta

Rahi Quraishi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1934
tabāhī bastiyoñ kī hai nigahbānoñ se vābasta
gharoñ kā rañj vīrānī hai mehmānoñ se vābasta
safar qadmoñ se vābasta hai lekin rāsta apnā
gulistānoñ se vābasta na vīrānoñ se vābasta
sadāqat bhī to ho jaatī hai maqtūl-e-fareb āḳhir
haqīqat bhī to ho jaatī hai afsānoñ se vābasta
supurd-e-ḳhāk ham ne hī kiyā kitne azīzoñ ko
hamīñ ne kar diye haiñ phuul vīrānoñ se vābasta
tahī-dastī ne tanhā kar diyā har ek mahfil meñ
bujhī sham.eñ nahīñ rahtī haiñ parvānoñ se vābasta
charāġhoñ ko rakhā jaatā hai āñdhī aur tūfāñ meñ
farishtoñ ko kiyā jaatā hai shaitānoñ se vābasta
sahīfoñ meñ kahīñ tahrīr raushan thī yahī 'rāhī'
zamīñ par the kabhī insān insānoñ se vābasta
Top Urdushayar.com