tabāhī  bastiyoñ  kī  hai  nigahbānoñ  se  vābasta
gharoñ  kā  rañj  vīrānī  hai  mehmānoñ  se  vābasta
safar  qadmoñ  se  vābasta  hai  lekin  rāsta  apnā
gulistānoñ  se  vābasta  na  vīrānoñ  se  vābasta
sadāqat  bhī  to  ho  jaatī  hai  maqtūl-e-fareb  āḳhir
haqīqat  bhī  to  ho  jaatī  hai  afsānoñ  se  vābasta
supurd-e-ḳhāk  ham  ne  hī  kiyā  kitne  azīzoñ  ko
hamīñ  ne  kar  diye  haiñ  phuul  vīrānoñ  se  vābasta
tahī-dastī  ne  tanhā  kar  diyā  har  ek  mahfil  meñ
bujhī  sham.eñ  nahīñ  rahtī  haiñ  parvānoñ  se  vābasta
charāġhoñ  ko  rakhā  jaatā  hai  āñdhī  aur  tūfāñ  meñ
farishtoñ  ko  kiyā  jaatā  hai  shaitānoñ  se  vābasta
sahīfoñ  meñ  kahīñ  tahrīr  raushan  thī  yahī  'rāhī'
zamīñ  par  the  kabhī  insān  insānoñ  se  vābasta