Nazim Barelvi

ashk chashm-e-but-e-be-jaan se nikal sakta hai

Nazim Barelvi

ashk chashm-e-but-e-be-jāñ se nikal saktā hai
āh-e-pur-soz se patthar bhī pighal saktā hai
apne andāz-e-takallum ko badal de varna
merā lahja bhī tire saath badal saktā hai
log kahte the ki phaltā nahīñ nafrat kā shajar
ham ko lagtā hai ki is daur meñ phal saktā hai
mere siine meñ mohabbat kī tapish baaqī hai
merī sāñsoñ se tirā husn pighal saktā hai
chāñd kī chaah meñ uḌte hue panchhī kī tarah
dil bhī nādāñ hai kisī shai pe machal saktā hai
jazba-e-ishq se raushan hai mirā dil 'nāzim'
ye diyā tez havāoñ meñ bhī jal saktā hai
Top Urdushayar.com