Nazim Barelvi

ashk chashm-e-but-e-be-jaan se nikal sakta hai

Nazim Barelvi

ashk chashm-e-but-e-be-jāñ se nikal saktā hai

āh-e-pur-soz se patthar bhī pighal saktā hai

apne andāz-e-takallum ko badal de varna

merā lahja bhī tire saath badal saktā hai

log kahte the ki phaltā nahīñ nafrat shajar

ham ko lagtā hai ki is daur meñ phal saktā hai

mere siine meñ mohabbat tapish baaqī hai

merī sāñsoñ se tirā husn pighal saktā hai

chāñd chaah meñ uḌte hue panchhī tarah

dil bhī nādāñ hai kisī shai pe machal saktā hai

jazba-e-ishq se raushan hai mirā dil 'nāzim'

ye diyā tez havāoñ meñ bhī jal saktā hai

Top Urdushayar.com