Syeda Shan-e-Meraj

yun to iKHlas mein is ke koi dhoka bhi nahin

Syeda Shan-e-Meraj

yuuñ to iḳhlās meñ is ke koī dhokā bhī nahīñ

kab badal jaa.e magar is bharosā bhī nahīñ

kaaT vaqt ne zanjīr-e-ta.alluq kaḌī

ab musāfir ko koī rokne vaalā bhī nahīñ

phir na yādoñ ke kahīñ band darīche khul jaa.eñ

muddatoñ se tirī tasvīr ko dekhā bhī nahīñ

jal gayā dhuup meñ yādoñ ḳhunuk saaya bhī

be-navā dasht-e-balā meñ koī ham bhī nahīñ

thak ga.e haiñ mire nākām irādoñ ke qadam

ab nigāhoñ meñ koī shauq sahrā bhī nahīñ

aa.ine aks se mahrūm nigah manzar se

ab ye tanhā.ī aalam hai ki saayā bhī nahīñ

ai mirī umr ke ma.azūr guzarte lamho

tum ne jaate hue muḌ kar kabhī dekhā bhī nahīñ

Top Urdushayar.com