Balwan Singh Azar

raat din ek bebasi zinda rahi

Balwan Singh Azar

kothal kalan, Haryana, India

1986
raat din ik bebasī zinda rahī
merī āñkhoñ meñ namī zinda rahī
haar jā.egī yaqīnan tīrgī
gar musalsal raushnī zinda rahī
pahle sannāToñ meñ vo maujūd thī
shor meñ bhī ḳhāmushī zinda rahī
zikr hogā is kā bhī sadiyoñ talak
kaise kaise ye sadī zinda rahī
dard ko 'āzar' duā maiñ kyuuñ na duuñ
dard hī se shā.erī zinda rahī
Top Urdushayar.com