chashm-e-tar  hai  sahāb  hai  kyā  hai
ashk  gauhar  hai  aab  hai  kyā  hai
marnā  jiinā  janāb  hai  kyā  hai
har-nafas  inqalāb  hai  kiyā  hai
zahar  phailā  fazā  meñ  nafrat  kā
ye  siyāsat  kā  baab  hai  kyā  hai
jām-e-duniyā  ko  muñh  lagā  kar  dekh
zahar  hai  yā  sharāb  hai  kyā  hai
sinf-e-nāzuk  ye  tabsira  kījiye
ḳhaar  hai  yā  gulāb  hai  kyā  hai
ham  se  aalam  kī  pūchh  asliyat
ye  haqīqat  hai  ḳhvāb  hai  kyā  hai
kaun  jaan  adāoñ  meñ  us  kī
bachpanā  hai  shabāb  hai  kyā  hai
vo  'vaqār'  aap  kā  murassā-e-'hilm'
be-nuqat  ik  kitāb  hai  kyā  hai