kuñ.eñ  jo  paanī  kī  bin  pyaas  chaah  rakhte  haiñ
magar  nahañg  bhī  dariyā  kī  thaah  rakhte  haiñ
shahādat  apnī  gavāhī  pe  ab  bhī  hai  shāhid
shahīd  vo  haiñ  jo  haq  ko  gavāh  rakhte  haiñ
ye  jaan  lījiye  pahchān  donoñ  kī  hai  yahī
jo  taaj  raajā  to  kashkol  shaah  rakhte  haiñ
vo  ḳhaak  dhuul  chaTā.eñge  apne  dushman  ko
jo  dil  na  qalb-e-amīr-e-sipāh  rakhte  haiñ
haiñ  dañg  apnī  hī  dahshat  ke  Dar  se  dahshat-gard
ye  kaale  naag  haiñ  dil  bhī  siyāh  rakhte  haiñ
jo  log  achchhe  haiñ  rakhte  haiñ  Thiik  ghar  ko  vahī
ḳharāb  log  to  ghar  ko  tabāh  rakhte  haiñ
hamārī  un  kī  siyāsat  kā  rañg  ḳhuub  hai  vaah
ki  ham  imaam  to  vo  sarbarāh  rakhte  haiñ
jo  andhe  āñkhoñ  ke  haiñ  aur  nain  mujh  ko  hai  naam
vo  kor-chashm  bhī  ham  par  nigāh  rakhte  haiñ
banā  ke  qasr-e-vafā  sher  bolā  haidar  kā
kaTā  ke  haath  bhī  ham  dast-gāh  rakhte  haiñ
'vaqār-hilm'  alī  vāloñ  se  ḳhudā  kī  qasam
pul-sirāt  ke  raste  bhī  raah  rakhte  haiñ