ik-baTā-do  ko  karūñ  kyuuñ  na  raqam  do-baTā-chār
is  ġhazal  par  hai  qavāfī  kā  karam  do-baTā-chār
sho.ala-e-gul  se  chaman  meñ  kahīñ  lag  jaa.e  na  aag
ab  to  shabnam  bhī  nazar  aatī  hai  nam  do-baTā-chār
kaun  kahtā  hai  ki  jañgal  meñ  nahīñ  sher  ko  ġham
maiñ  ne  zaiġham  meñ  milā  dekhā  hai  ġham  do-baTā-chār
us  ke  siine  se  lage  baiThe  haiñ  zaḳhmoñ  ke  sabab
dekho  marham  meñ  nazar  aate  haiñ  ham  do-baTā-chār
qāsim-e-nār-o-jināñ  kī  hai  mohabbat  dil  meñ
ho  gayā  hissa  jahannum  kā  to  nam  do-baTā-chār
mausam-e-gul  kī  qasam  khā  na  ḳhudārā  bulbul
dekh  mausam  meñ  milā  rahtā  hai  sam  do-baTā-chār
dil  liye  phirtā  hai  tasvīr-e-butāñ  kā  album
phaT  na  jaa.e  ye  kahīñ  is  meñ  hai  bam  do-baTā-chār
sūrat-e-badr  hilāl  aa.ī  nazar  un  kī  jabīñ
zulfeñ  lahrā.īñ  haiñ  khā  khā  ke  jo  ḳham  do-baTā-chār
va.ade  hamdam  ke  raheñ  kyuuñ  na  adhūre  ai  'vaqār'
is  meñ  lo  ḳhud  hī  nazar  aatā  hai  dam  do-baTā-chār