zahr  ke  ghūñT  pī  rahe  haiñ  ham
terī  nazroñ  meñ  jī  rahe  haiñ  ham
ḳhuub  hai  sozan-e-mizha  bhī  tirī
dil  ke  zaḳhmoñ  ko  sī  rahe  haiñ  ham
ghar  to  ghar  sar  diye  haiñ  ġhurbat  meñ
dasht  meñ  bhī  saḳhī  rahe  haiñ  ham
shoḳh  hoñ  mai-kade  hoñ  mahfileñ  hoñ
har  jagah  muttaqī  rahe  haiñ  ham
tere  kūche  kī  guftugū  hai  fuzūl
tere  to  dil  meñ  bhī  rahe  haiñ  ham
pesh-e-ḳhidmat  haiñ  kausar-o-tasnīm
kushta-e-tishnagī  rahe  haiñ  ham
de  diye  roTiyoñ  samet  shutur
muflisī  meñ  ġhanī  rahe  haiñ  ham
nafs  ke  shar  se  'hilm'  bach  ke  raho
muddatoñ  se  dukhī  rahe  haiñ  ham