lagtā  hai  in  dinoñ  ke  hai  mahshar-ba-kaf  havā
haiñ  sar-ba-kaf  charāġh  to  ḳhanjar-ba-kaf  huā
jab  se  chaman  meñ  rakkhā  hai  bulbul  ne  āshiyāñ
sho.ala-ba-kaf  hai  barq  to  aḳhgar-ba-kaf  havā
ruḳhsār-e-gul  ke  til  se  haiñ  hairān  ḳhushbueñ
hai  mausam-e-bahār  meñ  ambar-ba-kaf  huā
ilm-o-amal  se  hotī  hai  kirdār  kī  parakh
elaan  kar  rahī  hai  ye  mahzar-ba-kaf  havā
fir.aun  aur  abrha  jaisoñ  se  bārhā
har  haal  hī  meñ  nibTī  hai  lashkar-ba-kaf  havā
e.ajāz  sher-e-haq  kā  dikhāne  ke  vāste
azhdar  ba-kaf  huī  kabhī  ḳhaibar-ba-kaf  havā
gulshan  meñ  mustaqil  jo  Thikānā  nahīñ  milā
sahrā  navard  ho  ga.ī  bistar-ba-kaf  havā
dīvān-e-be-nuqat  se  hai  terā  'vaqār-hilm'
kahtī  hai  ahl-e-fan  se  ye  gauhar-ba-kaf  havā