Athar Nasik

agar yaqin na rakhte guman to rakhte

Athar Nasik

1959-2012
agar yaqīn na rakhte gumān to rakhte
ham apne hone kā koī nishān to rakhte
tamām din jo kaḌī dhuup meñ sulagte haiñ
ye peḌ sar pe koī sā.ebān to rakhte
hamārī baat samajh meñ to un kī aa jaatī
ham apne saath koī tarjumān to rakhte
hameñ safar kā ḳhasāra pasand thā varna
musāfirat kī thakan sar pe taan to rakhte
mushāhidāt kā dar lāziman khulā hotā
ham apnī aañkh sū-e-sham.a-dān to rakhte
jilā ke baiTh ga.e dāman-e-sahar 'nāsik'
sitāre TuuT rahe the to dhyān to rakhte
Top Urdushayar.com