Hassan Ahmad Awan

ashk ki aisi farawani pe rashk aata hai

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
ashk kī aisī farāvānī pe rashk aatā hai
chashm-e-nam terī pareshānī pe rashk aatā hai
jab kisī ālam-e-hairat kī ḳhabar lagtī hai
rashk aatā hai jahāñ-bānī pe rashk aatā hai
tābish-e-māh bhī kuchh kam to nahīñ hai lekin
yaar ke chehra-e-nūrānī pe rashk aatā hai
auj-e-aflāk pe tanhā.ī ko le aayā thā
is liye kūcha-e-vīrānī pe rashk aatā hai
husn-e-ahmad kā hī atiya hai ye husn-e-duniyā
husn kī itnī farāvānī pe rashk aatā hai
Top Urdushayar.com