ashk  kī  aisī  farāvānī  pe  rashk  aatā  hai
chashm-e-nam  terī  pareshānī  pe  rashk  aatā  hai
jab  kisī  ālam-e-hairat  kī  ḳhabar  lagtī  hai
rashk  aatā  hai  jahāñ-bānī  pe  rashk  aatā  hai
tābish-e-māh  bhī  kuchh  kam  to  nahīñ  hai  lekin
yaar  ke  chehra-e-nūrānī  pe  rashk  aatā  hai
auj-e-aflāk  pe  tanhā.ī  ko  le  aayā  thā
is  liye  kūcha-e-vīrānī  pe  rashk  aatā  hai
husn-e-ahmad  kā  hī  atiya  hai  ye  husn-e-duniyā
husn  kī  itnī  farāvānī  pe  rashk  aatā  hai