kuchh  aql  bhī  rakhtā  hai  junūñ-zād  hamārā
ab  ishq  meñ  pāgal  nahīñ  farhād  hamārā
ḳhemoñ  se  ubharne  lagīñ  mātam  kī  sadā.eñ
aur  ham  se  ḳhafā  ho  gayā  sajjād  hamārā
ik  phuul  ke  khilne  se  bahut  pahle  jahāñ  meñ
ik  ḳhvāb  huā  jaatā  hai  barbād  hamārā
ik  soch  ki  mahdūd  hī  rahtī  hai  rahegī
ik  dil  kā  parinda  hai  ki  āzād  hamārā
ye  bazm-e-suḳhan  sāz-e-suḳhan  hī  kī  tag-o-tāz
suntā  hai  yahāñ  har  koī  irshād  hamārā
ye  talḳhī-e-qismat  hai  ki  sāñsoñ  kī  atā  hai
aahoñ  se  bhare  dāman-e-fariyād  hamārā
ham  qāfiya-paimā  nahīñ  shā.ir  hue  'hassān'
aur  mīr-taqī-'mīr'  hai  ustād  hamārā