Hassan Ahmad Awan

tamam taron ko jaise qamar se joDa hai

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
tamām tāroñ ko jaise qamar se joḌā hai
mirī jabīñ ko tire sañg-e-dar se joḌā hai
ḳhudā ne ḳhud ko ba-zāhir chhupā ke rakkhā hai
hamāre dil ko na jaane kidhar se joḌā hai
visāl-o-hijr kī tartīb ulTī rakkhī hai
idhar kā silsila us ne udhar se joḌā hai
ḳhudā ne saada qalam se banāyā ham sab ko
tire vajūd ko apne hunar se joḌā hai
ye chāñd bhī to tire husn kā bhikārī hai
tumhāre husn ko kis ne qamar se joḌā hai
tamām lazzateñ duniyā ke dil meñ rakkhī haiñ
ḳhudā ne sukh ko magar apne ghar se joḌā hai
tamām midhateñ vaqf-e-ba-nām-e-ahmad haiñ
tamām zikr ko is tājvar se joḌā hai
Top Urdushayar.com