tamām  tāroñ  ko  jaise  qamar  se  joḌā  hai
mirī  jabīñ  ko  tire  sañg-e-dar  se  joḌā  hai
ḳhudā  ne  ḳhud  ko  ba-zāhir  chhupā  ke  rakkhā  hai
hamāre  dil  ko  na  jaane  kidhar  se  joḌā  hai
visāl-o-hijr  kī  tartīb  ulTī  rakkhī  hai
idhar  kā  silsila  us  ne  udhar  se  joḌā  hai
ḳhudā  ne  saada  qalam  se  banāyā  ham  sab  ko
tire  vajūd  ko  apne  hunar  se  joḌā  hai
ye  chāñd  bhī  to  tire  husn  kā  bhikārī  hai
tumhāre  husn  ko  kis  ne  qamar  se  joḌā  hai
tamām  lazzateñ  duniyā  ke  dil  meñ  rakkhī  haiñ
ḳhudā  ne  sukh  ko  magar  apne  ghar  se  joḌā  hai
tamām  midhateñ  vaqf-e-ba-nām-e-ahmad  haiñ
tamām  zikr  ko  is  tājvar  se  joḌā  hai