sar-e-darbār  ḳhāmoshī  tah-e-darbār  ḳhushiyāñ  haiñ
dar-o-dīvār  kī  bāteñ  dar-o-dīvār  ḳhushiyāñ  haiñ
tujhe  taknā  tujhe  sunñā  tirā  hañsnā  machal  jaanā
hamāre  ġham  ke  āñgan  meñ  faqat  do-chār  ḳhushiyāñ  haiñ
ka.ī  haiñ  dāstāneñ  dafn  yaañ  yāroñ  ke  siine  meñ
kahīñ  par  ġham  hai  ḳhushiyoñ  meñ  kahīñ  ġham-ḳhvār  ḳhushiyāñ  haiñ
amīr-e-shahr  kyā  jaane  jo  guzrī  hai  ġharīboñ  par
yahāñ  par  ġham  ke  phere  haiñ  vahāñ  har  baar  ḳhushiyāñ  haiñ
na  jab  tak  ham  samajh  paa.eñ  hamārā  maqsad-e-taḳhlīq
jahāñ  meñ  jo  mayassar  hoñ  sabhī  be-kār  ḳhushiyāñ  haiñ
baḌī  mehnat  se  likkhī  hai  sar-e-qirtās  jo  maiñ  ne
kahānī  meñ  jo  rakkhe  haiñ  sabhī  kirdār  ḳhushiyāñ  haiñ
jo  mujh  pe  shart  ho  ahmad  maiñ  puurī  kar  dikhā.ūñgā
sar-e-inkār  gumnāmī  pas-e-iqrār  ḳhushiyāñ  haiñ