ruuh  kāġhaz  kalām  ḳhushbū  hai
kyā  numāyāñ  payām  ḳhushbū  hai
hai  tumhāre  ḳhamīr  kī  ḳhushbū
tum  jo  kahte  ho  aam  ḳhushbū  hai
ham  se  tohfe  meñ  phuul  kyuuñ  kar  le
us  kā  to  apnā  naam  ḳhushbū  hai
phuul  mausam  kī  nazar  ho  ga.e  sab
jis  ne  paayā  davām  ḳhushbū  hai
koī  mere  qarīb  aayā  hai
kyuuñ  na  bhejūñ  salām  ḳhushbū  hai
nisbateñ  aap  ke  pasīne  se
kitnī  ālī-maqām  ḳhushbū  hai
baat  āġhāz  phuul  se  hogī
baat  kā  iḳhtitām  ḳhushbū  hai