Hassan Ahmad Awan

aise kuchh log bhi miTTi pe utare jaen

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
aise kuchh log bhī miTTī pe utāre jaa.eñ
dekh kar jin ko ḳhad-o-ḳhāl sañvāre jaa.eñ
ek hī vasl kī tāsīr rahegī qaa.em
kaun chāhegā yahāñ saal guzāre jaa.eñ
tere mizhgāñ haiñ ki sūrat koī qausain kī hai
darmiyāñ aa ke kahīñ log na maare jaa.eñ
maahī us paar khaḌā aap kī rah taktā hai
aap tāzīm kareñ aur kināre jaa.eñ
ab mayassar nahīñ koī bhī Thikāna ham ko
tum batāo ki kahāñ dost tumhāre jaa.eñ
chand sheroñ kī zarūrat hai unheñ ḳhātir-e-dost
vo ba-zid haiñ ki vo ash.ār hamāre jaa.eñ
raushnī chāhiye kuchh der zarā aur hameñ
chāñd ruk jaa.e yahīñ aur sitāre jaa.eñ
Top Urdushayar.com