aise  kuchh  log  bhī  miTTī  pe  utāre  jaa.eñ
dekh  kar  jin  ko  ḳhad-o-ḳhāl  sañvāre  jaa.eñ
ek  hī  vasl  kī  tāsīr  rahegī  qaa.em
kaun  chāhegā  yahāñ  saal  guzāre  jaa.eñ
tere  mizhgāñ  haiñ  ki  sūrat  koī  qausain  kī  hai
darmiyāñ  aa  ke  kahīñ  log  na  maare  jaa.eñ
maahī  us  paar  khaḌā  aap  kī  rah  taktā  hai
aap  tāzīm  kareñ  aur  kināre  jaa.eñ
ab  mayassar  nahīñ  koī  bhī  Thikāna  ham  ko
tum  batāo  ki  kahāñ  dost  tumhāre  jaa.eñ
chand  sheroñ  kī  zarūrat  hai  unheñ  ḳhātir-e-dost
vo  ba-zid  haiñ  ki  vo  ash.ār  hamāre  jaa.eñ
raushnī  chāhiye  kuchh  der  zarā  aur  hameñ
chāñd  ruk  jaa.e  yahīñ  aur  sitāre  jaa.eñ