Fani Jodhpuri

ye sahra mera hai jhelam chanab uski taraf

Fani Jodhpuri

Rajasthan, India

1984
ye sahrā merā hai jhelam chanāb us kī taraf
turāb merī taraf aur aab us kī taraf
na jaane kis ne banā.ī hai doġhlī tasvīr
haiñ ḳhaar merī taraf aur gulāb us kī taraf
zabān merī hai alfāz haiñ mire lekin
hai bāt-chīt kā lab-o-labāb us kī taraf
mirī ġhazal ke muqaddar meñ pyaas aa.ī hai
kashīd kī huī umda sharāb us kī taraf
koī muamma kabhī is tarah bhī ho maulā
savāl merī taraf huuñ javāb us kī taraf
yuuñ apnā nāma-e-a.amāl kar liyā taqsīm
gunāh merī taraf haiñ savāb us kī taraf
zarūr puchhuñgā taqsīm karne vaale se
rakhā hai kis liye saarā shabāb us kī taraf
kisī ne naam se mere uchhālā jab patthar
ubharne lag gayā ik inqalāb us kī taraf
jo ḳhud se pūchhā ki 'fānī' maiñ jā.ūñ kis raste
ishārā karne lagī hai rikāb us kī taraf
Top Urdushayar.com