Josh Malihabadi

hairat hai aah-e-subh ko sari faza sune

Josh Malihabadi

1898-1982

hairat hai āh-e-sub.h ko saarī fazā sune

lekin zamīñ pe but na falak par ḳhudā sune

fariyād-e-andalīb se kāñpe tamām baaġh

lekin na gul na ġhuncha na bād-e-sabā sune

ḳhud apnī sadāoñ se gūñje hue haiñ kaan

koī kisī baat sune bhī to kyā sune

ye bhī ajab tilism hai ai shorish-e-hayāt

dard-āshnā baat na dard-āshnā sune

shāhoñ ke dil to sañg haiñ shāhoñ zikr kyā

ye bhī nahīñ ki haal gadā gadā sune

aalam hai ye ki gosh-e-bashar tak hai be-niyāz

honā thā ye ki banda kahe aur ḳhudā sune

sunte bhī haiñ jo log to yuuñ dāstān-e-ġham

jaise yazīd sāneha-e-karbalā sune

haañ ai ḳhuda-e-arsh-e-barīñ o butān-e-farsh

tum meñ se ho koī to mirā mājrā sune

pashmīna-posh rāh-nashīnoñ iltijā

shāyad kabhī vo shāhid-e-atlash-qabā sune

ham nādir o yazīd na hajjāj haiñ na shimr

allāh aur 'josh' hamārī duā sune

Top Urdushayar.com