Josh Malihabadi

numayan muntaha-e-sai-e-paiham hoti jati hai

Josh Malihabadi

1898-1982

numāyāñ muntahā-e-sai-e-paiham hotī jaatī hai

tabī.at be-niyāz-e-har-do-ālam hotī jaatī hai

uThī jaatī hai dil se haibat-e-ālām-e-rūhānī

jarāhat bahr-e-qalb-e-zār marham hotī jaatī hai

kinārā kar rahā hai ruuh se haijān-e-sartābī

ki gardan justujū ke shauq meñ ḳham hotī jaatī hai

junūñ chhā rahā hai zindagī par ik dhundalkā

ḳhirad raushnī siine meñ maddham hotī jaatī hai

nasīm-e-be-niyāzī aa rahī hai bām-e-gardūñ se

urūs-e-mudda.ā zulf barham hotī jaatī hai

numāyāñ ho chalā hai ik jahāñ chashm-e-tasavvur par

nazar shāyad harīf-e-sāġhar-e-jam hotī jaatī hai

girah yuuñ khul rahī hai har nafas zauq-e-tamāshā

ki har adnā shai ab ek aalam hotī jaatī hai

fazā meñ kāñptī haiñ dhundlī dhundlī nuqra.ī shakleñ

har ik taḳh.īl-e-pākīza mujassam hotī jaatī hai

na jaane sīna-e-ehsās par ye haat hai kis

tabī.at be-niyāz-e-shādī-o-ġham hotī jaatī hai

samajh meñ aa.eñ kyā bārīkiyāñ qānūn-e-qudrat

ibādat kasrat-e-ma.anī se mub.ham hotī jaatī hai

ḳhajil thā jis shorish se talātum bahr-e-hastī

mire dil meñ vo halchal 'josh' ab kam hotī jaatī hai

Top Urdushayar.com