sach  hai  ki  vo  burā  thā  har  ik  se  laḌā  kiyā
lekin  use  zalīl  kiyā  ye  burā  kiyā
gul-dān  meñ  gulāb  kī  kaliyāñ  mahak  uThīñ
kursī  ne  us  ko  dekh  ke  āġhosh  vā  kiyā
ghar  se  chalā  to  chāñd  mire  saath  ho  liyā
phir  sub.h  tak  vo  mere  barābar  chalā  kiyā
koThoñ  pe  muñh-añdhere  sitāre  utar  paḌe
ban  ke  patañg  maiñ  bhī  havā  meñ  uḌā  kiyā
us  se  bichhaḌte  vaqt  maiñ  royā  thā  ḳhūb-sā
ye  baat  yaad  aa.ī  to  pahroñ  hañsā  kiyā
chhoḌo  purāne  qissoñ  meñ  kuchh  bhī  dharā  nahīñ
aao  tumheñ  batā.eñ  ki  'alvī'  ne  kyā  kiyā