saarī  duniyā  hai  ek  parda-e-rāz
uf  re  tere  hijāb  ke  andāz
maut  ko  ahl-e-dil  samajhte  haiñ
zindagāni-e-ishq  kā  āġhāz
mar  ke  paayā  shahīd  kā  rutba
merī  is  zindagī  kī  umr  darāz
koī  aayā  tirī  jhalak  dekhī
koī  bolā  sunī  tirī  āvāz
ham  se  kyā  pūchhte  ho  ham  kyā  haiñ
ik  bayābāñ  meñ  gum-shuda  āvāz
tere  anvār  se  labālab  hai
dil  kā  sab  se  amiiq  gosha-e-rāz
aa  rahī  hai  sadā-e-hātif-e-ġhaib
'josh'  hamta-e-hāfiz-e-shīrāz