kabhī  to  aisā  bhī  ho  raah  bhuul  jā.ūñ  maiñ
nikal  ke  ghar  se  na  phir  apne  ghar  meñ  aa.uuñ  maiñ
bikher  de  mujhe  chāroñ  taraf  ḳhalāoñ  meñ
kuchh  is  tarah  se  alag  kar  ki  juḌ  na  pā.ūñ  maiñ
ye  jo  akele  meñ  parchhā.iyāñ  sī  bantī  haiñ
bikhar  hī  jā.eñgī  lekin  kise  dikhā.ūñ  maiñ
mirā  makān  agar  biich  meñ  na  aa.e  to
in  ūñche  ūñche  makānoñ  ko  phāñd  jā.ūñ  maiñ
gavāhī  detā  vahī  merī  be-gunāhī  kī
vo  mar  gayā  to  use  ab  kahāñ  se  lā.ūñ  maiñ
ye  zindagī  to  kahīñ  ḳhatm  hī  nahīñ  hotī
ab  aur  kitne  dinoñ  ye  azaab  uThā.ūñ  maiñ
ġhazal  kahī  hai  koī  bhāñg  to  nahīñ  pī  hai
mushā.ere  meñ  tarannum  se  kyuuñ  sunā.ūñ  maiñ
are  vo  aap  ke  dīvān  kyā  hue  'alvī'
bike  na  hoñ  to  kabāḌī  ko  saath  lā.ūñ  maiñ