Josh Malihabadi

gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana

Josh Malihabadi

1898-1982
gudāz-e-dil se bātin kā tajallī-zār ho jaanā
mohabbat asl meñ hai ruuh kā bedār ho jaanā
naved-e-aish se ai dil zarā hushyār ho jaanā
kisī taaza musībat ke liye tayyār ho jaanā
vo un ke dil meñ shauq-e-ḳhud-numā.ī kā ḳhayāl aanā
vo har shai kā tabassum ke liye tayyār ho jaanā
mizāj-e-husn ko ab bhī na samjho to qayāmat hai
hamārā aur vafā ke naam se be-zār ho jaanā
sahar kā is tarah añgḌā.ī lenā dil-farebī se
udhar shā.ir ke mahsūsāt kā bedār ho jaanā
tavassul se tire dil meñ bharūñgā quvvateñ barqī
zarā merī taraf bhī ai nigāh-e-yār ho jaanā
vo ārā.ish meñ sab quvvat kisī kā sarf kar denā
tahammul meñ vo har koshish mirī bekār ho jaanā
ma.āz-allāh ab ye rañg hai duniyā kī mahfil kā
ḳhudā kā naam lenā aur zalīl o ḳhvār ho jaanā
ragoñ se ḳhuun saarā zahr ban kar phuuT niklegā
zarā ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyār ho jaanā
Top Urdushayar.com