Josh Malihabadi

phir aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar hain hum

Josh Malihabadi

1898-1982

phir āshnā-e-lazzat-e-dard-e-jigar haiñ ham

phir mahram-e-kashākash-e-har-ḳhair-o-shar haiñ ham

har saañs de rahī hai ḳhabar kā.enāt

phir bāda-e-jamāl se yuuñ be-ḳhabar haiñ ham

phir ishq nazar meñ hai māshūqiyat naaz

phir husn-e-dil-navāz se shīr-o-shakar haiñ ham

jiine ke ishtiyāq se hai phir ramīdgī

phir sīna-e-hayāt meñ azm-e-safar haiñ ham

hoshyār-bāsh zulmat-e-ġham-ḳhāna-e-hayāt

phir markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar haiñ ham

kis zom meñ hai ai shab-e-daijūr-e-zindagī

phir rāzdār-e-nūr-e-tulū-e-sahar haiñ ham

hai kis ḳhayāl-e-ḳhām meñ ai ḳhārzār-e-dahr

phir kāmrān-e-ḳhanda-e-gul-hā-e-tar haiñ ham

phir zindagī hai ġham amānat liye hue

har daulat-e-nashāt se phir bahra-var haiñ ham

phir faiz-e-āshiqī se ba-īñ be-bazā.atī

jeb-e-jahāñ meñ daulat-e-lāl-o-guhar haiñ ham

phir bāvajūd-e-faqr vo hāsil hai tumtarāq

ye kahe ki sāhib-e-tāj-o-kamar haiñ ham

āñkhoñ meñ nūr-e-mus.haf-e-jānāñ liye hue

phir kardgār-e-ishq ke paiġhām-bar haiñ ham

khulte nahīñ haiñ 'josh' dimāġhoñ pe dil ke raaz

bālā-tar az rasā.i-e-naqd-o-nazar haiñ ham

Top Urdushayar.com