Josh Malihabadi

jab se marne ki ji mein Thani hai

Josh Malihabadi

1898-1982
jab se marne kī jī meñ Thānī hai
kis qadar ham ko shādmānī hai
shā.irī kyuuñ na raas aa.e mujhe
ye mirā fann-e-ḳhāndānī hai
kyuuñ lab-e-iltijā ko duuñ jumbish
tum na mānoge aur na maanī hai
aap ham ko sikhā.eñ rasm-e-vafā
mehrbānī hai mehrbānī hai
dil milā hai jinheñ hamārā sā
talḳh un sab kī zindagānī hai
koī sadma zarūr pahuñchegā
aaj kuchh dil ko shādmānī hai
Top Urdushayar.com