Josh Malihabadi

aa fasl-e-gul hai gharq-e-tamanna tere liye

Josh Malihabadi

1898-1982
aa fasl-e-gul hai ġharq-e-tamannā tire liye
Duubā huā hai rañg meñ sahrā tire liye
sāhil pe sarv-e-nāz ko de zahmat-e-ḳhirām
bal khā rahā hai ḳhaak pe dariyā tire liye
īfā-e-ahd kar ki hai muddat se be-qarār
rūh-e-vafā-e-vāda-e-fardā tire liye
shānoñ pe ab to kākul-e-shab-rañg khol de
bikhrī huī hai zulf-e-tamannā tire liye
uTh chashm-e-jāvedāna-e-sāġhar-farosh uTh
machlī huī hai larzish-e-sahbā tire liye
ai āftāb-e-jalva-e-jānāñ buland ho
khoyā huā hai matla-e-duniyā tire liye
mauj-e-shamīm-e-sumbul-o-raihāñ ke darmiyāñ
vā hai musāhibat kā darīchā tire liye
aa aur daad de ki ba.iiñ chahsm-e-haq-nigar
khaa.e hue huuñ ziist kā dhokā tire liye
sabze kā farsh abr kā ḳhema guloñ kā itr
gulshan meñ ehtimām hai kyā kyā tire liye
tuġhyān-e-gul shabāb pe bulbul ḳharosh meñ
ik hashr sā hai baaġh meñ barpā tire liye
'josh' aur nañg-e-ḳhidmat-e-sultān o pās-e-hosh
ye bhī kiye hue hai gavārā tire liye
Top Urdushayar.com