zālim  ye  ḳhamoshī  bejā  hai  iqrār  nahīñ  inkār  to  ho
ik  aah  to  nikle  toḌ  ke  dil  naġhme  na  sahī  jhankār  to  ho
har  saañs  meñ  sad.hā  naġhme  haiñ  har  zarre  meñ  lākhoñ  jalve  haiñ
jaañ  mahv-e-rumūz-e-sāz  to  ho  dil  jalva-gah-e-anvār  to  ho
shāḳhoñ  kī  lachak  har  fasl  meñ  hai  saaqī  kī  jhalak  har  rañg  meñ  hai
sāġhar  kī  khanak  har  zarf  meñ  hai  maḳhmūr  to  ho  sarshār  to  ho
kyūñkar  na  shab-e-mah  raushan  ho  kyuuñ  sub.h  na  dāman  chaak  kare
kuchh  vasf-e-rumūz-e-husn  to  ho  kuchh  sharh-e-jamāl-e-yār  to  ho
siine  meñ  ḳhatā.eñ  muztar  haiñ  in.aam  kā  vo  iqrār  kareñ
mansūr  hazāroñ  ab  bhī  haiñ  ai  'josh'  sile  meñ  daar  to  ho