Faza Ibn e Faizi

chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
chand sāñseñ haiñ mirā raḳht-e-safar hī kitnā
chāhiye zindagī karne ko hunar hī kitnā
chalo achchhā hī huā muft luTā dī ye jins
ham ko miltā sila-e-husn-e-nazar hī kitnā
kyā pighaltā jo rag-o-pai meñ thā yaḳh-basta lahū
vaqt ke jaam meñ thā shola-e-tar hī kitnā
kis ḳhatā par ye uThānā paḌī rātoñ kī salīb
ham ne dekhā thā abhī ḳhvāb-e-sahar hī kitnā
ham bhī kuchh der ko chamke the ki bas raakh hue
sach to ye hai ki ram-o-raqs-e-sharar hī kitnā
tarz-e-ehsās meñ nudrat thī udhar hī kitnī
fikr-o-jazabe meñ tavāzun hai idhar hī kitnā
de diye ḳhusrav-o-shīrīñ ne use moḌ ka.ī
varna yuuñ fāsla-e-tīsha-o-sar hī kitnā
terā irfān tū kyā ḳhud ko na pahchān sakā
thā mirā dā.ra-e-ilm-o-ḳhabar hī kitnā
yak qadam besh nahīñ shab kī masāfat lekin
ek TuuTe hue taare kā safar hī kitnā
ai 'fazā' dāman-e-alfāz hai ab bhī ḳhālī
thā yahāñ shāḳh-e-ma.ānī pe samar hī kitnā
Top Urdushayar.com