Faza Ibn e Faizi

chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009

chand sāñseñ haiñ mirā raḳht-e-safar kitnā

chāhiye zindagī karne ko hunar kitnā

chalo achchhā huā muft luTā ye jins

ham ko miltā sila-e-husn-e-nazar kitnā

kyā pighaltā jo rag-o-pai meñ thā yaḳh-basta lahū

vaqt ke jaam meñ thā shola-e-tar kitnā

kis ḳhatā par ye uThānā paḌī rātoñ salīb

ham ne dekhā thā abhī ḳhvāb-e-sahar kitnā

ham bhī kuchh der ko chamke the ki bas raakh hue

sach to ye hai ki ram-o-raqs-e-sharar kitnā

tarz-e-ehsās meñ nudrat thī udhar kitnī

fikr-o-jazabe meñ tavāzun hai idhar kitnā

de diye ḳhusrav-o-shīrīñ ne use moḌ ka.ī

varna yuuñ fāsla-e-tīsha-o-sar kitnā

terā irfān kyā ḳhud ko na pahchān sakā

thā mirā dā.ra-e-ilm-o-ḳhabar kitnā

yak qadam besh nahīñ shab masāfat lekin

ek TuuTe hue taare safar kitnā

ai 'fazā' dāman-e-alfāz hai ab bhī ḳhālī

thā yahāñ shāḳh-e-ma.ānī pe samar kitnā

Top Urdushayar.com